Charkh Chinioti

aql hairan hai rahmat ka taqaza kya hai

Charkh Chinioti

aql hairān hai rahmat kā taqāzā kyā hai
dil ko taqsīr kī tarġhīb tamāshā kyā hai
unheñ jab ġhaur se dekhā to na dekhā un ko
maqsad us parde kā ik dīda-e-bīnā kyā hai
ham shahādat kā junūñ sar meñ liye phirte haiñ
ham mujāhid haiñ hameñ maut kā khaTkā kyā hai
uḌtā phirtā huuñ maiñ sahrā meñ bagūle kī tarah
kuchh nahīñ ilm mirā maljā-o-māvā kyā hai
merā manshā hai ki duniyā se kinārā kar luuñ
ai ġham-e-dost batā terā irāda kyā hai
baat pur-pech hañsī lab pe shikan māthe par
dil samajhne se hai qāsir ye muamma kyā hai
jo tirī zulf pe jā kar na khile phuul vo kyā
jo na uljhe tire dāman se vo kāñTā kyā hai
ek khiltā huā gulshan hai tumhārā paikar
tum tabassum hī tabassum ho tumhārā kyā hai
maiñ ne ik baat jo pūchhī to bigaḌ kar bole
bad-gumānī ke sivā aap ne sīkhā kyā hai
vo faqīroñ ko navāzeñ na navāzeñ ai 'charḳh'
ham duā de ke chale ā.eñge apnā kyā hai
Top Urdushayar.com