baat  kahne  ke  liye  baat  banā.ī  na  ga.ī
ham  se  bārāt  fareboñ  kī  sajā.ī  na  ga.ī
aaj  bhī  daar  ke  taḳhte  se  sadā  aatī  hai
haq  kī  āvāz  sitamgar  se  dabā.ī  na  ga.ī
dost  karte  haiñ  hasad  is  liye  terī  tasvīr
mā-sivā  dil  ke  kahīñ  aur  sajā.ī  na  ga.ī
ġham  kī  tasvīr  banāne  ko  maiñ  jab  bhī  baiThā
un  kī  muskān  ubhar  aa.ī  banā.ī  na  ga.ī
na.ī  tahzīb  ke  ḳhākoñ  ko  sañvārā  ham  ne
ham  se  aḳhlāq  kī  tasvīr  banā.ī  na  ga.ī
jaane  kyā  sūjhī  mirī  qabr  par  aa  kar  un  se
gul  chaḌhā.e  na  ga.e  sham.a  jalā.ī  na  ga.ī
maiñ  to  baat  aa.ī  ga.ī  kar  ke  chalā  aayā  thā
ho  ga.ī  baat  parā.ī  vo  dabā.ī  na  ga.ī
us  ne  hañgāmoñ  se  bahlā.ī  hai  apnī  duniyā
vaqt  se  amn  kī  shahnā.ī  bajā.ī  na  ga.ī
'charḳh'  dekhe  jo  javānī  ke  ubharte  jalve
zindagī  apnī  gunāhoñ  se  bachā.ī  na  ga.ī