be-ḳhudī  meñ  hai  na  vo  pī  kar  sambhal  jaane  meñ  hai
lutf  pā-e-yār  par  jo  laġhzisheñ  khāne  meñ  hai
tere  va.ade  terī  yādeñ  tere  naġhme  tere  ḳhvāb
husn  se  bharpūr  daulat  mere  kāshāne  meñ  hai
sāġhar-o-mīnā  meñ  lahrātī  hai  har  mauj-e-sharāb
ik  javānī  kā  talātum  aaj  maiḳhāne  meñ  hai
bazm-e-duniyā  meñ  haiñ  husn-o-ishq  yuuñ  jalva-numā
raushnī  hai  sham.a  meñ  to  soz  parvāne  meñ  hai
mai  kī  ik  ik  buuñd  se  tūfān-e-mastī  hai  ayaañ
kis  kī  mai-bār  añkhḌiyoñ  kā  aks  paimāne  meñ  hai
nuur  kī  bārish  abhī  hone  de  thoḌī  der  aur
ik  zarā  sī  der  hī  to  raat  Dhal  jaane  meñ  hai
laakh  fitrat  ne  dikhā.ī  barq  kī  chashmak-zanī
us  meñ  vo  shoḳhī  kahāñ  jo  tere  sharmāne  meñ  hai
jaan  bhī  dil  bhī  jigar  bhī  ārzū-e-vasl  bhī
un  ke  pesh  apnā  sabhī  kuchh  aaj  nazrāne  meñ  hai
mai  ubhar  kar  jaam  meñ  añgḌā.iyāñ  lene  lagī
kaisā  madd-o-jazr  saaqī  tere  maiḳhāne  meñ  hai
'charḳh'  maiñ  nā-āshnā  huuñ  hijr  ke  māhaul  se
vasl  kā  rañgīn  pahlū  mere  afsāne  meñ  hai