gungunātī  huī  āvāz  kahāñ  se  lā.ūñ
terī  āvāz  kā  andāz  kahāñ  se  lā.ūñ
tere  altāf  se  raqsāñ  haiñ  laboñ  par  ḳhushiyāñ
ġham  meñ  Duubī  huī  āvāz  kahāñ  se  lā.ūñ
hāl-e-dil  phuul  se  chehroñ  ko  sunāne  ke  liye
maiñ  lab-e-zamzama-parvāz  kahāñ  se  lā.ūñ
mujh  se  hans  hans  ke  tirī  mashq-e-sitam  hotī  hai
tujh  sā  monis  but-e-tannāz  kahāñ  se  lā.ūñ
shomī-e-baḳht  hai  ye  'charḳh'  ki  vo  kahte  haiñ
maiñ  masīhā.ī  kā  andāz  kahāñ  se  lā.ūñ