Saqib Lakhnavi

ruKH-o-zulf ka hun fasana-KHwan yahi mashghala yahi kaam hai

Saqib Lakhnavi

Agra, Uttar pradesh, India

1869-1946

ruḳh-o-zulf huuñ fasāna-ḳhvāñ yahī mashġhala yahī kaam hai

mujhe din chain azāb-e-jāñ mujhe shab niiñd harām hai

tire intizār meñ hai taab ye marīz-e-hijr hai jāñ-ba-lab

kahīñ aa bhī va.ada-ḳhilāf ab ki yahāñ to kaam tamām hai

kahūñ hasratoñ hujūm kyā dar-e-dil tak aa ke vo bevafā

mujhe ye sunā ke palaT gayā ki yahāñ to majma-e-ām hai

na vo mehr-o-māh tābisheñ na vo aḳhtaroñ numā.isheñ

na vo āsmāñ haiñ gardisheñ na vo sub.h hai na vo shaam hai

mire dam pe ishq meñ hai banī tujhe va.az-o-pand hai paḌī

mire nāsehā tujhe bandagī tirī dostī ko salām hai

na satā.eñ vo na satā.eñ vo idhar aa.eñ vo idhar aa.eñ vo

na sahī mujhī ko balā.eñ vo ye ḳhayāl-o-bātil-o-ḳhām hai

tap-e-ġham se hotī hai ab mafar ki tabīb-e-marg hai chāra-gar

mirā qissa aaj hai muḳhtasar mirī dāstān tamām hai

hai kahāñ vo sāqī-e-tund-ḳhū ki hai mai-kade meñ ye hā-o-hū

kahīñ sar-nigūñ haiñ ḳhum-o-subū kahīñ shīsha hai kahīñ jaam hai

nahīñ dil ko fikr ye be-sabab gayā din kahāñ huī raat kab

mujhe roz-e-vasl hai ajab abhī sub.h thī abhī shaam hai

na vo mehmān-e-harīm-e-dil na ḳhayāl is muqīm-e-dil

huī qat.a rasm-e-qadīm-e-dil na payām hai na salām hai

kahīñ husn vāloñ ke darmiyāñ ye ġhazal sunī to kahā ki haañ

ye hai nazm-e-'sāqib'-e-ḳhush-bayāñ ye usī tarz-e-kalām hai

Top Urdushayar.com