tasḳhīr  sab  nujūm-o-mah-o-kahkashāñ  hue
mujh  ko  thā  vo  junūñ  ki  nigūñ  do-jahāñ  hue
maiñ  ziist  ke  safar  meñ  akelī  jo  chal  paḌī
azm-o-junūñ-o-shauq  mire  kārvāñ  hue
dariyā  to  ek  pal  meñ  samundar  se  jā  milā
aañsū  ThiThak  ke  aañkh  meñ  ik  dāstāñ  hue
nashshe  meñ  taḳht-o-tāj  ke  kal  tak  jo  chuur  the
sach  hai  lahad  meñ  aaj  vahī  be-nishāñ  hue
jin  pe  ba-sad-niyāz  jhukā  dī  thī  ye  jabīñ
'resham'  nuqūsh-e-pā  vo  mire  āstāñ  hue