kis  kī  aamad  se  bahārāñ  huā  maskan  maskan
aaj  gul  khilte  rahe  chaar  sū  gulshan  gulshan
vo  jo  uThī  thī  mirī  samt  uchaTtī  sī  nigāh
kar  ga.ī  raakh  sakūñ  kā  mire  ḳhirman  ḳhirman
saañs  hiddat  se  kiye  rakhtī  hai  mujh  ko  sarshār
kaun  paikar  meñ  mire  bas  gayā  dhaḌkan  dhaḌkan
dekhiye  us  but-e-kāfir  ke  satāne  kī  adā
ḳhvāb  meñ  dikhtā  hai  to  bhī  pas-e-chilman-chilman
luuT  kar  le  gayā  mujh  se  vo  mirā  apnā  vajūd
ab  to  apnā  sā  lage  raah  kā  rahzan  rahzan
vaqt  ruḳhsat  bhī  nahīñ  aane  dī  āñkhoñ  meñ  namī
sub.h-dam  tar  thā  magar  phūloñ  kā  dāman  dāman
kaise  kah  duuñ  maiñ  nahīñ  muntazir  us  kī  'resham'
tan  kī  dīvār  meñ  do  āñkheñ  haiñ  rauzan  rauzan