dariyā  thā  saath  phir  bhī  ajab  bebasī  rahī
sairāb  ham  hue  to  magar  tishnagī  rahī
ahl-e-safar  ko  justujū  manzil  pe  le  ga.ī
gard-e-safar  hamārī  ye  āvārgī  rahī
jhukte  haiñ  ham  ġharaz  ke  liye  rab  ke  sāmne
be-laus  ab  kisī  kī  kahāñ  bandagī  rahī
dīvār  kyā  khaḌī  huī  āñgan  ke  darmiyāñ
chhat  se  utartī  dhuup  bhī  sahmī  huī  rahī
āñkhoñ  meñ  aa  ke  merī  jo  ik  ḳhvāb  bas  gayā
phir  is  ke  baad  zindagī  be-ḳhvāb  sī  rahī
'resham'  ulajh  ke  rishtoñ  ke  is  pech-o-ḳham  meñ  ḳhud
apnī  hī  zaat  kā  maiñ  sirā  DhūñDhtī  rahī