mat  jāniye  paikār  meñ  bas  nāz-o-adā  kā
aurat  meñ  hai  dam  ma.arka-e-jaur-o-jafā  kā
manzil  pe  pahuñch  sakte  nahīñ  aise  musāfir
har  gaam  pe  ho  ḳhauf  jinheñ  ābla-pā  kā
har  dard  kā  darmāñ  hai  sharāb-e-ġham-e-ulfat
ik  ghūñT  meñ  ham  piite  haiñ  ik  jaam  shifā  kā
maiñ  sun  ke  jise  lauT  ga.ī  beach  safar  se
mānūs  sadā  thī  ki  vo  dhokā  thā  sadā  kā
benām-o-nishāñ  barg  sī  āvāra-e-manzil
kuchh  mujh  pe  karam  shāḳh  kā  kuchh  zor  havā  kā
sahrā-e-mohabbat  hai  sarāboñ  kā  tasalsul
hāsil  hai  faqat  tishnagī  'resham'  kī  vafā  kā