vo  nahīñ  huuñ  maiñ  ki  jis  par  koī  ashk-bār  hotā
kabhī  sham.a  bhī  na  rotī  jo  mirā  mazār  hotā
shab-e-ġham  meñ  zindagī  kā  kise  e'tibār  hotā
mirī  jaan  jā  chukī  thī  jo  na  intizār  hotā
mirī  dāstān-e-ġham  ko  vo  ġhalat  samajh  rahe  haiñ
kuchh  unhīñ  kī  baat  bantī  agar  e'tibār  hotā
yahī  soz-e-ishq  jis  ko  maiñ  hamesha  raaz  samjhā
jo  hijāb-e-dil  na  jaltā  to  na  āshkār  hotā
maiñ  shikāyat  zamāna  jo  karūñ  to  kyā  samajh  kar
na  ye  daur-e-charḳh  hotā  na  ye  rozgār  hotā
dil-e-pāra-pāra  tujh  ko  koī  yuuñ  to  dafn  kartā
vo  jidhar  nigāh  karte  udhar  ik  mazār  hotā
mai-e-ishq  josh-zan  hai  ye  lahū  nahīñ  ragoñ  meñ
mirā  nashsha  kyuuñ  utartā  mujhe  kyuuñ  ḳhumār  hotā
mire  dil  ne  baḌh  ke  rokā  tire  tīr-e-jāñ-fishāñ  ko
jo  ye  beach  meñ  na  paḌtā  to  jigar  ke  paar  hotā
vo  lahad  pe  un  kā  aanā  vo  qadam  qadam  pe  mahshar
mirī  niiñd  kyuuñ  uchaTtī  agar  ek  baar  hotā
shab-e-hijr  ba.ad  mere  agar  is  jahāñ  meñ  rahtī
to  yahī  siyāh  daftar  mirā  yādgār  hotā
jo  hamāre  dekhne  ko  kabhī  aap  aa  nikalte
vahī  aañkh  dar  pe  hotī  vahī  intizār  hotā
vo  shabāb  ke  fasāne  jo  maiñ  sun  rahā  huuñ  dil  se
agar  aur  koī  kahtā  to  na  e'tibār  hotā
ye  zamāna  baḌh  rahā  hai  faqat  iztirāb-e-dil  se
shab-e-ġham  na  yuuñ  Thahartī  jo  mujhe  qarār  hotā
vo  jahāñ  meñ  aag  lagtī  ki  bujhā.e  se  na  bujhtī
mire  dūd-e-dil  meñ  'sāqib'  jo  koī  sharār  hotā