Bashiruddin Ahmad Dehlvi

hai duniya mein zaban meri agar band

Bashiruddin Ahmad Dehlvi

hai duniyā meñ zabāñ merī agar band
magar ma.anī ke mujh par kab haiñ dar band
jo sab naama kiyā aatā hai dekheñ
likhā naama diyā qāsid ko sar-band
ḳhudā jaane hai is meñ maslahat kyā
khulī hai raah lekin hai ḳhabar band
rihā.ī jīte-jī mumkin nahīñ hai
qafas hai āhanī dar-band par band
kaheñ bhī ab nahīñ merā Thikānā
ki ik ik ghar hai band ek ek dar band
na kyuuñ taklīf ho armāñ ko dil meñ
kahāñ jaa.e kidhar jaa.e hai ghar band
mujhe aatā nahīñ kyā kaam karnā
magar bāb-e-duā band aur asar band
kaheñ bhūle se koī aa to jaa.e
ham apne dil meñ rakkheñge nazar band
duā ye hai ki yā-rab mutma.in hoñ
ho ulfat meñ kasī sūrat se shar band
vo rāziq rizq pahuñchātā hai sab ko
khuleñ sattar agar ho ek dar band
barādar quvvat-e-bāzū hai maanā
magar farzand hotā hai jigar-band
mirā dil bhī tilismī hai ḳhazāna
ki is meñ ḳhair bhī hai aur shar band
bashīr achchhī zabāñ paa.ī hai tū ne
tarī durj-e-dahan meñ haiñ guhar band
Top Urdushayar.com