Arif Shafiq

jab bhi dushman ban ke isne war kiya

Arif Shafiq

Karachi, Sindh, Pakistan

1956

jab bhī dushman ban ke is ne vaar kiyā

maiñ ne apne lahje ko talvār kiyā

maiñ ne apne phuul se bachchoñ ḳhātir

kāġhaz ke phūloñ kārobār kiyā

merī mehnat qīmat kyā degā

maiñ ne dasht-o-sahrā ko gulzār kiyā

maiñ 'farhād' majnūñ kaise ban jaatā

maiñ shā.ir thā maiñ ne sab se pyaar kiyā

us āñkheñ ḳhvāb se banñe lagtī haiñ

jab bhī maiñ ne chāhat iz.hār kiyā

apne pīchhe aane vāloñ ḳhātir

maiñ ne har ik raste ko hamvār kiyā

us ke ghar ke saare log muḳhālif the

phir bhī 'ārif' us ne mujh se pyaar kiyā

Top Urdushayar.com