Arif Shafiq

dozaKH bhi kya guman hai jannat bhi hai fareb

Arif Shafiq

Karachi, Sindh, Pakistan

1956
dozaḳh bhī kyā gumān hai jannat bhī hai fareb
in vasvasoñ meñ merī ibādat bhī hai fareb
dariyā o dasht aur samundar bhī haiñ sarāb
din kā ujālā raat kī zulmat bhī hai fareb
terā har ik ḳhayāl bhī ik ḳhushnumā gumān
duniyā hī kyā ḳhud apnī haqīqat bhī hai fareb
parchhā.īñ ke sivā to nahīñ haiñ ham aur kuchh
ye rañg-o-nūr aur ye nik.hat bhī hai fareb
roz-e-azal kā lamha-e-maujūd bhī hai aks
ya.anī guzarte vaqt kī saa.at bhī hai fareb
vahm-o-gumāñ ke saa.e haiñ sūraj bhī chāñd bhī
andhī hai soch aur basārat bhī hai fareb
hai ye nigār-ḳhāna jo ḳhvāb-o-ḳhayāl sā
is ā.īne meñ merī ye sūrat bhī hai fareb
'ārif'-husain dhokā sahī apnī zindagī
is zindagī ke ba.ad kī hālat bhī hai fareb
Top Urdushayar.com