raah  bholā  huuñ  magar  ye  mirī  ḳhāmī  to  nahīñ
maiñ  kahīñ  aur  se  aayā  huuñ  maqāmī  to  nahīñ
ūñchā  lahja  hai  faqat  zor-e-dalā.el  ke  liye
ai  mirī  jaañ  ye  mirī  talḳh-kalāmī  to  nahīñ
un  daraḳhtoñ  ko  duā  do  ki  jo  raste  meñ  na  the
jaldī  aane  kā  sabab  tez-ḳhirāmī  to  nahīñ
terī  masnad  pe  koī  aur  nahīñ  aa  saktā
ye  mirā  dil  hai  koī  ḳhālī  asāmī  to  nahīñ
maiñ  hama-vaqt  mohabbat  meñ  paḌā  rahtā  thā
phir  kisī  dost  se  pūchhā  ye  ġhulāmī  to  nahīñ
bartarī  itnī  bhī  apnī  na  jatā  ai  mire  ishq
tū  'nadīm'-o-'zakī'  o  'kāshif'-o-'kāmī'  to  nahīñ