us lamhe tishna-lab ret bhī paanī hotī hai
āñdhī chale to sahrā meñ tuġhyānī hotī hai
nasr meñ jo kuchh kah nahīñ saktā sher meñ kahtā huuñ
is mushkil meñ bhī mujh ko āsānī hotī hai
jaane kyā kyā zulm parinde dekh ke aate haiñ
shaam Dhale peḌoñ par marsiya-ḳhvānī hotī hai
ishq tumhārā khel hai baaz aayā is khel se meñ
mere saath hamesha be-īmānī hotī hai
kyuuñ apnī tārīḳh se nālāñ haiñ is shahr ke log
Dah dete haiñ jo ta.amīr purānī hotī hai
ye nukta ik qissa-go ne mujh ko samjhāyā
har kirdār ke andar ek kahānī hotī hai
itnī saarī yādoñ ke hote bhī jab dil meñ
vīrānī hotī hai to hairānī hotī hai