dhuum  se  sunte  haiñ  ab  kī  saal  aatī  hai  bahār
dekhiye  kyā  kuchh  hamāre  sar  pe  laatī  hai  bahār
shāyad  azm-e-yār  kī  gulshan  meñ  pahuñchī  hai  ḳhabar
gil  ke  pairāhan  meñ  phūlī  na.iiñ  samātī  hai  bahār
dekhne  de  bāġhbāñ  ab  gulsitāñ  apnā  mujhe
halqa-e-zanjīr  meñ  mehmāñ  bulātī  hai  bahār
shor  ye  ġhunchoñ  ke  vā-shud  kā  nahīñ  ai  andalīb
ab  chaman  meñ  tumtarāq  apnā  dikhātī  hai  bahār
kyuuñ  phañsā  gulshan  meñ  yuuñ  jā  kar  abas  saudā  tū  ab
meñ  na  kahtā  thā  tujhe  vo  dekh  aatī  hai  bahār