tujh  bin  bahut  hī  kaTtī  hai  auqāt  be-tarah
jūñ-tūñ  ke  din  to  guzre  hai  par  raat  be-tarah
hotī  hai  ek  tarah  se  har  kaam  kī  jazā
a.amāl-e-ishq  kī  hai  mukāfāt  be-tarah
bulbul  kar  us  chaman  meñ  samajh  kar  Tuk  āshiyāñ
sayyād  lag  rahā  hai  tirī  ghaat  be-tarah
pūchhā  payām-bar  se  jo  maiñ  yaar  kā  javāb
kahne  lagā  ḳhamosh  ki  hai  baat  be-tarah
milne  na  degā  ham  se  tujhe  ek-dam  raqīb
pīchhe  lagā  phire  hai  vo  bad-zāt  be-tarah
koī  hī  mor  hai  to  rahe  is  meñ  shaiḳh-jī
dāḌhī  paḌī  hai  shāne  ke  ab  haath  be-tarah
'saudā'  na  mil  kar  apnī  tū  ab  zindagī  pe  rahm
hai  us  javāñ  kī  tarz-e-mulāqāt  be-tarah