Sauda Mohammad Rafi

we suraten ilahi kis mulk bastiyan hain

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
ve sūrateñ ilāhī kis mulk bastiyāñ haiñ
ab dekhne ko jin ke āñkheñ tarastiyāñ haiñ
aayā thā kyuuñ adam meñ kyā kar chalā jahāñ meñ
ye marg-o-zīst tujh bin aapas meñ hañstiyāñ haiñ
kyūñkar na ho mushabbak shīsha sā dil hamārā
us shoḳh kī nigāheñ patthar meñ dhañstiyāñ haiñ
barsāt kā to mausam kab kā nikal gayā par
mizhgāñ kī ye ghaTā.eñ ab tak barsatiyāñ haiñ
lete haiñ chhīn kar dil āshiq kā pal meñ dekho
ḳhūbāñ kī āshiqoñ par kyā pesh-dastiyāñ haiñ
is vāste ki haiñ ye vahshī nikal na jāveñ
āñkhoñ ko merī mizhgāñ Doroñ se kastiyāñ haiñ
qīmat meñ un ke go ham do jag ko de chuke ab
us yaar kī nigāheñ tis par bhī sastiyāñ haiñ
un ne kahā ye mujh se ab chhoḌ duḳht-e-raz ko
piirī meñ ai divāne ye kaun mastiyāñ haiñ
jab maiñ kahā ye us se 'saudā' se apne mil ke
is saal tū hai saaqī aur mai-parastiyāñ haiñ
Top Urdushayar.com