hindū  haiñ  but-parast  musalmāñ  ḳhudā-parast
pūjūñ  maiñ  us  kisī  ko  jo  ho  āshnā-parast
is  daur  meñ  ga.ī  hai  muravvat  kī  aañkh  phuuT
mādūm  hai  jahān  se  chashm-e-hayā-parast
dekhā  hai  jab  se  rañg-e-kafak  tere  paañv  meñ
ātish  ko  chhoḌ  gabr  hue  haiñ  hinā-parast
chāhe  ki  aks-e-dost  rahe  tujh  meñ  jalva-gar
ā.īna-dār  dil  ko  rakh  apne  safā-parast
āvārgī  se  ḳhush  huuñ  maiñ  itnā  ki  bād-e-marg
har  zarra  merī  ḳhaak  kā  hogā  havā-parast
ḳhāk-e-fanā  ko  tā-ki  parastish  tū  kar  sake
juuñ  ḳhizr  mat  kahā.iyo  āb-e-baqā-parast
'saudā'  se  shaḳhs  ke  ta.iiñ  āzurda  kījiye
ai  ḳhud-parast  haif  nahīñ  tū  vafā-parast