bātil  hai  ham  se  da.avā  shā.er  ko  ham-sarī  kā
dīvān  hai  hamārā  kiisa  javāharī  kā
chehra  tirā  sā  kab  hai  sultān-e-ḳhāvarī  kā
chīra  hazār  bāñdhe  sar  par  jo  vo  zarī  kā
muñh  par  ye  goshvāra  motī  kā  jalva-gar  hai
jaise  qirān-e-bāham  ho  maah  o  mushtarī  kā
ā.īna-ḳhāne  meñ  vo  jis  vaqt  aan  baiThe
phir  jis  taraf  ko  dekho  jalva  hai  vaañ  parī  kā
juz  shauq-e-dil  na  pahuñchūñ  hargiz  ba-kū-e-jānāñ
ai  ḳhizr  kab  huuñ  terī  muhtāj  rahbarī  kā
jo  dekhtā  hai  tujh  ko  hañstā  hai  qahqahe  maar
ai  shaiḳh  terā  chehra  mabdā  hai  masḳharī  kā
tālib  haiñ  sīm-o-zar  ke  ḳhūbān-e-hind  'saudā'
ahvāl  kaun  samjhe  āshiq  kī  be-zarī  kā