gadā  dast-e-ahl-e-karam  dekhte  haiñ
ham  apnā  hī  dam  aur  qadam  dekhte  haiñ
na  dekhā  jo  kuchh  jaam  meñ  jam  ne  apne
so  yak  qatra-e-mai  meñ  ham  dekhte  haiñ
ye  ranjish  meñ  ham  ko  hai  be-iḳhtiyārī
tujhe  terī  khā  kar  qasam  dekhte  haiñ
ġharaz  kufr  se  kuchh  na  diiñ  se  hai  matlab
tamāshā-e-dair-o-haram  dekhte  haiñ
hubāb-e-lab-e-jū  haiñ  ai  bāġhbāñ  ham
chaman  ko  tire  koī  dam  dekhte  haiñ
navishte  ko  mere  miTāte  haiñ  ro  ro
malā.ek  jo  lauh  o  qalam  dekhte  haiñ
miTā  jaa.e  hai  harf  harf  āñsuoñ  se
jo  naama  use  kar  raqam  dekhte  haiñ
akaḌ  se  nahīñ  kaam  sumbul  kī  ham  ko
kisī  zulf  kā  pech  o  ḳham  dekhte  haiñ
ḳhudā  dushmanoñ  ko  na  vo  kuchh  dikhā.e
jo  kuchh  dost  se  apne  ham  dekhte  haiñ
sitam  se  kiyā  tū  ne  ham  ko  jo  ḳhūgar
karam  se  tire  ham  sitam  dekhte  haiñ
magar  tujh  se  ranjīda-ḳhātir  hai  'saudā'
use  tere  kūche  meñ  kam  dekhte  haiñ