Sauda Mohammad Rafi

kahte hain log yar ka abru phaDak gaya

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
kahte haiñ log yaar kā abrū phaḌak gayā
teġhā sā kuchh nazar meñ hamārī saḌak gayā
maiñ kyā karūñ adā-e-ġhazab-nāk kā bayāñ
bijlī sā mere sāmne aa kar kaḌak gayā
naale se mere gul to huā chaak pairahan
bulbul tirā jigar na ye sun kar taḌak gayā
koī gayā na ḳhauf se qātil ke sāmne
maiñ hī thā us ke rū-ba-rū jo be-dhaḌak gayā
mushkil paḌegā phir to bujhānā jahān kā
jo Tuk ziyāda ishq kā sho.ala bhaḌak gayā
'saudā' churā chukā hī thā gulshan meñ gul ko maiñ
qismat ko apnī kyā kahūñ pattā khaḌak gayā
Top Urdushayar.com