ai  aah  tirī  qadr  asar  ne  to  na  jaanī
go  tuj  ko  laqab  ham  ne  diyā  arsh-makānī
yak  ḳhalq  kī  nazroñ  meñ  subuk  ho  gayā  lekin
kartā  huuñ  maiñ  ab  tak  tirī  ḳhātir  pe  girānī
Tuk  dīda-e-tahqīq  se  tū  dekh  zuleḳhā
har  chaah  meñ  aatā  hai  nazar  yūsuf-e-sānī
māmūr  hai  jis  roz  se  vīrāna-e-duniyā
har  jins  ke  insāñ  kī  ye  maaTī  ga.ī  chhānī
ik  vāmiq-e-nau  kā  hai  samajh  chaak  garebāñ
kartī  hai  jo  raḳhna  koī  dīvār  purānī
bulbul  hī  sisaktī  na  thī  kuchh  baaġh  meñ  tujh  bin
shabnam  guloñ  ke  muñh  meñ  chuvātī  rahī  paanī
hai  gosh-zada  ḳhalq  mirā  qissa-e-jāñ-kāh
jab  se  ki  na  samjhe  thā  tū  chiḌiyā  kī  kahānī
juuñ  sham.a  mujhe  sharm  hai  zunnār  kī  ai  shaiḳh
maalā  na  japūñ  raat  ko  be-ashk-fishānī
jis  samt  nazar  mauj-e-sarāb  aave  to  ye  jaan
hovegī  kisī  zulf-e-chalīpā  kī  nishānī
kyā  kyā  mile  lailā-manshāñ  ḳhaak  meñ  'saudā'
go  apne  bhī  mahbūb  kī  dekhī  na  javānī