be-vaj.h  na.iiñ  hai  aa.ina  har  baar  dekhnā
koī  dam  ko  phūltā  hai  ye  gulzār  dekhnā
nargis  kī  tarah  ḳhaak  merī  ugeñ  haiñ  chashm
Tuk  aan  ke  ye  hasrat-e-dīdār  dekhnā
khīñche  to  teġh  hai  haram-e-dil  ke  said  par
ai  ishq  par  bhalā  tū  mujhe  maar  dekhnā
hai  naqs-e-jān  diid  tirā  par  yahī  hai  dhun
jī  jaao  yaar  ho  mujhe  yak-bār  dekhnā
ai  tifl-e-ashk  hai  falak-e-haftamīñ  pa  arsh
aage  qadam  na  rakhiyo  tū  zinhār  dekhnā
pūchhe  ḳhudā  sabab  jo  mire  ishtiyāq  kā
merī  zabāñ  se  ho  yahī  iz.hār  dekhnā
har  naqsh-e-pā  pe  taḌpe  hai  yaaro  har  ek  dil
Tuk  vāste  ḳhudā  ke  ye  raftār  dekhnā
kartā  to  hai  tū  aan  ke  'saudā'  se  iḳhtilāt
koī  lahr  aa  ga.ī  to  mire  yaar  dekhnā
tujh  bin  ajab  ma.āsh  hai  'saudā'  kā  in  dinoñ
tū  bhī  Tuk  us  ko  jā  ke  sitamgār  dekhnā
ne  harf  o  ne  hikāyat  o  ne  sher  o  ne  suḳhan
ne  sair-e-bāġh  o  ne  gul-o-gulzār  dekhnā
ḳhāmosh  apne  kalba-e-ahzāñ  meñ  roz  o  shab
tanhā  paḌe  hue  dar-o-dīvār  dekhnā
yā  jā  ke  us  galī  meñ  jahāñ  thā  tirā  guzar
le  sub.h  tā-ba-shām  ka.ī  baar  dekhnā
taskīn-e-dil  na  is  meñ  bhī  paa.ī  to  bahr-e-shaġhl
paḌhnā  ye  sher  gar  kabhū  ash.ār  dekhnā
kahte  the  ham  na  dekh  sakeñ  roz-e-hijr  ko
par  jo  ḳhudā  dikhā.e  so  nā-chār  dekhnā