āshiq  kī  bhī  kaTtī  haiñ  kyā  ḳhuub  tarah  rāteñ
do-chār  ghaḌī  ronā  do-chār  ghaḌī  bāteñ
qurbāñ  huuñ  mujhe  jis  dam  yaad  aatī  haiñ  vo  bāteñ
kyā  din  vo  mubārak  the  kyā  ḳhuub  thiiñ  vo  rāteñ
auroñ  se  chhuTe  dilbar  dil-dār  hove  merā
bar-haq  haiñ  agar  pairav  kuchh  tum  meñ  karāmāteñ
kal  laḌ  ga.iiñ  kūche  meñ  āñkhoñ  se  mirī  āñkhiyāñ
kuchh  zor  hī  aapas  meñ  do  do  huiiñ  samghāteñ
kashmīr  sī  jāgah  meñ  nā-shukr  na  rah  zāhid
jannat  meñ  tū  ai  giidī  maare  hai  ye  kyuuñ  lāteñ
is  ishq  ke  kūche  meñ  zāhid  tū  sambhal  chalnā
kuchh  pesh  na  jāveñgī  yaañ  terī  munājāteñ
us  roz  miyāñ  mil  kar  nazroñ  ko  churāte  the
tujh  yaad  meñ  hī  sājan  karte  haiñ  madārāteñ
'saudā'  ko  agar  pūchho  ahvāl  hai  ye  us  kā
do-chār  ghaḌī  ronā  do-chār  ghaḌī  bāteñ