chehre  pe  na  ye  naqāb  dekhā
parde  meñ  thā  āftāb  dekhā
kyuuñ  kar  na  bikūñ  maiñ  haath  us  ke
yūsuf  kī  tarah  maiñ  ḳhvāb  dekhā
kuchh  maiñ  hī  nahīñ  huuñ,  ek  aalam
us  ke  liye  yaañ  ḳharāb  dekhā
dil  tū  ne  abas  likhā  thā  naama
jo  un  ne  diyā  javāb  dekhā
be-jurm  o  gunāh  qatl-e-āshiq
maz.hab  meñ  tire  savāb  dekhā
kuchh  hove  to  ho  adam  meñ  rāhat
hastī  meñ  to  ham  azaab  dekhā
jis  chashm  ne  mujh  taraf  nazar  kī
us  chashm  ko  maiñ  pur-āb  dekhā
hairān  vo  tere  ishq  meñ  hai
yaañ  ham  ne  jo  shaiḳh  o  shaab  dekhā
bhūlā  hai  vo  dil  se  lutf  us  kā
'saudā'  ne  ye  jab  itaab  dekhā