ek  ham  se  tujhe  nahīñ  iḳhlās
ghar-ba-ghar  tujh  ko  har  kahīñ  iḳhlās
rū-siyāhī  sivā  nahīñ  hāsil
naam  se  mat  kar  ai  nagīñ  iḳhlās
dekh  tujh  zulf  o  rū  kī  ulfat  ko
karte  haiñ  aaj  kufr  o  diiñ  iḳhlās
zor  hī  ham  se  tiiñ  rakhā  pyāre
vāh-vā  rahmat-āfrīñ  iḳhlās
misl-e-naqsh-e-qadam  ye  rakhtī  hai
tere  dar  se  mirī  jabīñ  iḳhlās
gar  tamannā  guhar  kī  hai  to  kar
chashm  merī  se  āstīñ  iḳhlās
aadam  is  daam  meñ  phañsā  'saudā'
rakkhe  daane  se  ḳhosha-chīñ  iḳhlās