dil  mat  Tapak  nazar  se  ki  paayā  na  jā.egā
juuñ  ashk  phir  zamīñ  se  uThāyā  na  jā.egā
ruḳhsat  hai  bāġhbāñ  ki  tanik  dekh  leñ  chaman
jaate  haiñ  vaañ  jahāñ  se  phir  aayā  na  jā.egā
ka.aba  Dahā  to  ġham  na  kar  ai  shaiḳh-e-but-shikan
dil  barhaman  kā  hai  ki  banāyā  na  jā.egā
aane  se  fauj-e-ḳhat  ke  na  ho  dil  ko  muḳhlisī
bañdhuā  hai  zulf  kā  ye  chhuTāyā  na  jā.egā
pahuñcheñge  us  chaman  meñ  na  ham  daad  ko  kabhū
juuñ  gul  ye  chāk-e-jeb  silāyā  na  jā.egā
teġh-e-jafā-e-yār  se  dil  sar  na  pheriyo
phir  muñh  vafā  ko  ham  se  dikhāyā  na  jā.egā
āvegā  vo  chaman  meñ  na  ai  abr  jab  talak
paanī  guloñ  ke  muñh  meñ  chuvāyā  na  jā.egā
ammāme  ko  utaar  ke  paḌhiyo  namāz  shaiḳh
sajde  se  varna  sar  ko  uThāyā  na  jā.egā
zāhid  gile  se  mastoñ  ke  baaz  aane  kā  nahīñ
tā  mai-kade  meñ  lā  ke  chhakāyā  na  jā.egā
zālim  na  maiñ  kahā  thā  ki  is  ḳhuuñ  se  darguzar
'saudā'  kā  qatl  hai  ye  chhupāyā  na  jā.egā
dāmān-o-dāġh-e-teġh  ko  dhoyā  to  kyā  huā
aalam  ke  dil  se  daaġh  dhulāyā  na  jā.egā