Sauda Mohammad Rafi

naseh ko jeb sine se fursat kabhu na ho

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
nāseh ko jeb siine se fursat kabhū na ho
dil yaar se phaTe to kisī se rafū na ho
is dil ko de ke luuñ do jahāñ ye kabhū na ho
saudā to hove tab ye ki jab us meñ tū na ho
ā.īna-e-vajūd adam meñ agar tirā
vo darmiyāñ na ho to kahīñ ham ko rū na ho
jhagḌā to husn o ishq kā chuktā hai pal ke biich
gar mahkame meñ qaazī ke tū rū-ba-rū na ho
qatre kī khul ga.ī hai girah varna ai nasīm
shor-e-dimāġh murġh-e-chaman gul kī bū na ho
guzre so guzre ahl-e-zamīñ uupar ai falak
ā.inda yaañ talak to koī ḳhūb-rū na ho
dil le ke tujh se barq ke shole ko dījiye
par hai ye Dar ki us kī bhī aisī hī ḳhū na ho
gul kī na tuḳhm murġh-e-chaman kar sake talāsh
ham ḳhām-fitratoñ se tirī justujū na ho
'saudā' badal ke qāfiya tū is ġhazal ko kah
ai be-adab tū dard se bas dū-ba-dū na ho
Top Urdushayar.com