nāseh  ko  jeb  siine  se  fursat  kabhū  na  ho
dil  yaar  se  phaTe  to  kisī  se  rafū  na  ho
is  dil  ko  de  ke  luuñ  do  jahāñ  ye  kabhū  na  ho
saudā  to  hove  tab  ye  ki  jab  us  meñ  tū  na  ho
ā.īna-e-vajūd  adam  meñ  agar  tirā
vo  darmiyāñ  na  ho  to  kahīñ  ham  ko  rū  na  ho
jhagḌā  to  husn  o  ishq  kā  chuktā  hai  pal  ke  biich
gar  mahkame  meñ  qaazī  ke  tū  rū-ba-rū  na  ho
qatre  kī  khul  ga.ī  hai  girah  varna  ai  nasīm
shor-e-dimāġh  murġh-e-chaman  gul  kī  bū  na  ho
guzre  so  guzre  ahl-e-zamīñ  uupar  ai  falak
ā.inda  yaañ  talak  to  koī  ḳhūb-rū  na  ho
dil  le  ke  tujh  se  barq  ke  shole  ko  dījiye
par  hai  ye  Dar  ki  us  kī  bhī  aisī  hī  ḳhū  na  ho
gul  kī  na  tuḳhm  murġh-e-chaman  kar  sake  talāsh
ham  ḳhām-fitratoñ  se  tirī  justujū  na  ho
'saudā'  badal  ke  qāfiya  tū  is  ġhazal  ko  kah
ai  be-adab  tū  dard  se  bas  dū-ba-dū  na  ho