dildār  us  ko  ḳhvāh  dil-āzār  kuchh  kaho
suntā  nahīñ  kisū  kī  mirā  yaar  kuchh  kaho
ġhamza  adā  nigāh  tabassum  hai  dil  kā  mol
tum  bhī  agar  ho  us  ke  ḳharīdār  kuchh  kaho
shīrīñ  ne  kohkan  se  mañgā.ī  thī  jū-e-shīr
gar  imtihāñ  hai  us  se  bhī  dushvār  kuchh  kaho
har  aan  aa  mujhī  ko  satāte  ho  nāseho
samjhā  ke  tum  use  bhī  to  yak-bār  kuchh  kaho
ai  sākinān-e-kunj-e-qafas  sub.h  ko  sabā
sunte  haiñ  jā.egī  sū-e-gulzār  kuchh  kaho
aalam  kī  guftugū  se  to  aatī  hai  bū-e-ḳhūñ
banda  hai  ik  nigah  kā  gunahgār  kuchh  kaho
'saudā'  muvāfaqat  kā  sabab  jāntā  hai  yaar
samjhe  muḳhālif  us  ko  kuchh  aġhyār  kuchh  kaho