dekhūñ  huuñ  yuuñ  maiñ  us  sitam-ījād  kī  taraf
juuñ  said  vaqt  zabah  ke  sayyād  kī  taraf
ne  daana  ham  qayās  kiyā  ne  lihāz-e-dām
dhañs  ga.e  qafas  meñ  dekh  ke  sayyād  kī  taraf
sābit  na  hove  ḳhuun  mirā  roz-e-bāz-purs
boleñge  ahl-e-hashr  so  jallād  kī  taraf
patthar  kī  lekh  thā  suḳhan  us  kā  hazār  haif
bolī  zabān-e-tesha  na  farhād  kī  taraf
turra  ke  tere  vāste  sad-chob-e-shān-a-dār
qumrī  ga.ī  hai  kāTne  shamshād  kī  taraf
'saudā'  tū  is  ġhazal  ko  ġhazal-dar-ġhazal  hī  kah
honā  hai  tujh  ko  'mīr'  se  ustād  kī  taraf