tujh  qaid  se  dil  ho  kar  āzād  bahut  royā
lazzat  ko  asīrī  kī  kar  yaad  bahut  royā
tasvīr  mirī  tujh  bin  ''mānī''  ne  jo  kheñchī  thī
andāz  samajh  us  kā  ''bahzād''  bahut  royā
naale  ne  tire  bulbul  nam  chashm  na  kī  gul  kī
fariyād  mirī  sun  kar  sayyād  bahut  royā
jueñ  paḌī  bahtī  haiñ  jā  dekh  gulistāñ  meñ
tujh  qad  se  ḳhajil  ho  kar  shamshād  bahut  royā
ā.īna  jo  paanī  meñ  hai  ġharq  ye  baa.is  hai
tujh  saḳht-dilī  aage  faulād  bahut  royā
yaañ  tak  mire  mash.had  se  hai  tishna-labī  paidā
is  samt  jo  ho  guzrā  jallād  bahut  royā
'saudā'  se  ye  maiñ  pūchhā  dil  maiñ  bhī  kisī  ko  duuñ
vo  kar  ke  bayāñ  apnī  rūdād  bahut  royā