Sauda Mohammad Rafi

bar-ha dil ko main samjha ke kaha kya kya kuchh

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
bār-hā dil ko maiñ samjhā ke kahā kyā kyā kuchh
na sunā aur khoyā mujh se mirā kyā kyā kuchh
izzat-o-ābrū o hurmat o diin o īmāñ
ro.uuñ kis kis ko maiñ yaaro ki gayā kyā kyā kuchh
sabr o ārām kahūñ yā ki maiñ ab hosh-o-havās
ho gayā us kī judā.ī meñ judā kyā kyā kuchh
ishq kis zaat kā aqrab hai ki lagte hī niish
dil ke saath āñkhoñ se paanī ho bahā kyā kyā kuchh
sāda-rūī ne to khoyā dil o diiñ se dekheñ
ḳhat ke aane meñ hai qismat kā likhā kyā kyā kuchh
daḳhl kyā rāh-e-mohabbat meñ niko-nāmī ko
aayā is kūche meñ jo un ne sunā kyā kyā kuchh
vālih-o-shefta o zār-o-hazīn o majnūñ
apne āshiq ko kal us ne na kahā kyā kyā kuchh
girya-e-shīsha kabhī thā to kabhī ḳhanda-e-jām
saaqī is daur meñ tere na huā kyā kyā kuchh
ġhurra mat ho jo zamāne se tirī ban aa.ī
thā vo kyā kyā ki na bigḌā na banā kyā kyā kuchh
shādī aane kī na kar yaar na jaane kā ġham
aayā kyā kyā na kuchh is jā na gayā kyā kyā kuchh
siina qānūn o ġhinā naala o dil hai mizrāb
nikle hai sāz-e-mohabbat se sadā kyā kyā kuchh
dosto haq meñ taraqqī o tanazzul apne
kyā kaheñ ham ko zamāne se huā kyā kyā kuchh
zo.af o nā-tāqatī o sustī o a.azā-shikanī
ek ghanTe meñ javānī ke baḌhā kyā kyā kuchh
sair kī qudarat-e-ḳhāliq kī butāñ meñ 'saudā'
musht bhar ḳhaak meñ jalva hai bhalā kyā kyā kuchh
Top Urdushayar.com