bār-hā  dil  ko  maiñ  samjhā  ke  kahā  kyā  kyā  kuchh
na  sunā  aur  khoyā  mujh  se  mirā  kyā  kyā  kuchh
izzat-o-ābrū  o  hurmat  o  diin  o  īmāñ
ro.uuñ  kis  kis  ko  maiñ  yaaro  ki  gayā  kyā  kyā  kuchh
sabr  o  ārām  kahūñ  yā  ki  maiñ  ab  hosh-o-havās
ho  gayā  us  kī  judā.ī  meñ  judā  kyā  kyā  kuchh
ishq  kis  zaat  kā  aqrab  hai  ki  lagte  hī  niish
dil  ke  saath  āñkhoñ  se  paanī  ho  bahā  kyā  kyā  kuchh
sāda-rūī  ne  to  khoyā  dil  o  diiñ  se  dekheñ
ḳhat  ke  aane  meñ  hai  qismat  kā  likhā  kyā  kyā  kuchh
daḳhl  kyā  rāh-e-mohabbat  meñ  niko-nāmī  ko
aayā  is  kūche  meñ  jo  un  ne  sunā  kyā  kyā  kuchh
vālih-o-shefta  o  zār-o-hazīn  o  majnūñ
apne  āshiq  ko  kal  us  ne  na  kahā  kyā  kyā  kuchh
girya-e-shīsha  kabhī  thā  to  kabhī  ḳhanda-e-jām
saaqī  is  daur  meñ  tere  na  huā  kyā  kyā  kuchh
ġhurra  mat  ho  jo  zamāne  se  tirī  ban  aa.ī
thā  vo  kyā  kyā  ki  na  bigḌā  na  banā  kyā  kyā  kuchh
shādī  aane  kī  na  kar  yaar  na  jaane  kā  ġham
aayā  kyā  kyā  na  kuchh  is  jā  na  gayā  kyā  kyā  kuchh
siina  qānūn  o  ġhinā  naala  o  dil  hai  mizrāb
nikle  hai  sāz-e-mohabbat  se  sadā  kyā  kyā  kuchh
dosto  haq  meñ  taraqqī  o  tanazzul  apne
kyā  kaheñ  ham  ko  zamāne  se  huā  kyā  kyā  kuchh
zo.af  o  nā-tāqatī  o  sustī  o  a.azā-shikanī
ek  ghanTe  meñ  javānī  ke  baḌhā  kyā  kyā  kuchh
sair  kī  qudarat-e-ḳhāliq  kī  butāñ  meñ  'saudā'
musht  bhar  ḳhaak  meñ  jalva  hai  bhalā  kyā  kyā  kuchh