dil  meñ  tire  jo  koī  ghar  kar  gayā
saḳht  muhim  thī  ki  vo  sar  kar  gayā
vahm-e-ġhalat-kār  ne  dil  ḳhush  kiyā
kis  pe  na  jaane  vo  nazar  kar  gayā
jā  hī  bhiḌā  tujh  saf-e-mizhgāñ  se  yaar
dil  to  mirā  zor-e-jigar  kar  gayā
raat  milā  thā  mujhe  tanhā  raqīb
yaar  ḳhudā  kā  hī  maiñ  Dar  kar  gayā
faiz  tire  vasf-e-bunā-gosh  kā
apne  suḳhan  ko  to  guhar  kar  gayā
dekh  lī  saaqī  kī  bhī  dariyā-dilī
lab  na  hamāre  kabhū  tar  kar  gayā
kyuuñ  ke  karāhūñ  na  shab  o  roz  meñ
dard  mire  pahlū  meñ  ghar  kar  gayā
naf.a  ko  pahuñchā  ye  tujhe  de  ke  dil
jaan  kā  apnī  meñ  zarar  kar  gayā
aur  ġhazal  ab  koī  saudā  tū  kah
ye  to  yūñhī  thī  maiñ  nazar  kar  gayā