apne  kā  hai  gunāh  begāne  ne  kyā  kiyā
is  dil  ko  kyā  kahūñ  ki  divāne  ne  kyā  kiyā
yaañ  tak  satānā  muj  ko  ki  ro  ro  kahe  tū  haa.e
yaaro  na  tum  sunā  ki  fulāne  ne  kyā  kiyā
parda  to  rāz-e-ishq  se  ai  yaar  uTh  chukā
be-sūd  ham  se  muñh  ke  chhupāne  ne  kyā  kiyā
āñkhoñ  kī  rahbarī  ne  kahūñ  kyā  ki  dil  ke  saath
kūche  kī  us  ke  raah  batāne  ne  kyā  kiyā
kaam  aa.ī  kohkan  kī  mashaqqat  na  ishq  meñ
patthar  se  jū-e-shīr  ke  laane  ne  kyā  kiyā
Tuk  dar  tak  apne  aa  mire  nāseh  kā  haal  dekh
maiñ  to  divānā  thā  pe  siyāne  ne  kyā  kiyā
chāhūñ  maiñ  kis  tarah  ye  zamāne  kī  dostī
auroñ  se  dost  ho  ke  zamāne  ne  kyā  kiyā
kahtā  thā  maiñ  gale  kā  tire  ho  paḌūñgā  haar
dekhā  na  gul  ko  sar  pe  chaḌhāne  ne  kyā  kiyā
'saudā'  hai  be-tarah  kā  nasha  jām-e-ishq  meñ
dekhā  ki  us  ko  muñh  ke  lagāne  ne  kyā  kiyā