ġhunche  se  muskurā  ke  use  zaar  kar  chale
nargis  ko  aañkh  maar  ke  bīmār  kar  chale
phirte  ho  baaġh  se  to  pukāre  hai  andalīb
sub.h-e-bahār-e-gul  pe  shab-e-tār  kar  chale
uThte  hue  jo  dair  se  lī  madrase  kī  raah
tasbīh  shaiḳh-e-shahr  kī  zunnār  kar  chale
aa.e  jo  bazm  meñ  to  uThā  chehre  se  naqāb
parvāne  hī  ko  sham.a  se  bezār  kar  chale
āzād  karte  tum  hameñ  qaid-e-hayāt  se
is  ke  evaz  jo  dil  ko  giraftār  kar  chale
uTh  kar  hamāre  paas  se  ghar  tak  raqīb  ke
pahuñchegā  vo  koī  jo  hameñ  maar  kar  chale
lo  ḳhush  raho  ghar  apne  meñ  jis  shakl  se  ho  tum
do  chaar  naale  ham  pas-e-dīvār  kar  chale
andoh-o-dard-o-ġham  ne  kiyā  azm  jab  idhar
ham  ko  adam  se  qāfila-sālār  kar  chale
'saudā'  ne  apne  ḳhuuñ  kī  diyat  tum  se  yak-nigāh
chāhī  to  itnī  baat  se  inkār  kar  chale
pyāre  ḳhudā  ke  vāste  Tuk  apne  dil  ke  biich
insāf  to  karo  ye  kise  maar  kar  chale