yuuñ  dekh  mire  dīda-e-pur-āb  kī  gardish
dariyā  meñ  ho  jis  tarah  se  girdāb  kī  gardish
martā  huuñ  tire  vāste  rotā  huuñ  zi-bas  yaar
hai  sail  mirī  chashm  meñ  girdāb  kī  gardish
phir  jaatī  haiñ  is  tarah  se  ik  pal  meñ  vo  añkhiyāñ
juuñ  bazm  meñ  ho  jām-e-mai-e-nāb  kī  gardish
az-bas-ki  hai  āñkhoñ  meñ  ḳhumār  us  ghaḌī  saaqī
mai  māñge  hai  tujh  se  jo  har  ahbāb  kī  gardish
go  ḳhaak  huā  to  bhī  phirā  ban  ke  bagūlā
ho  kar  na  ga.ī  āshiq-e-betāb  kī  gardish
jins-e-ḳhirad-o-sabr  bin  is  dil  ko  ho  kyā  chain
muflis  ko  burī  hotī  hai  asbāb  kī  gardish
dil  zulf-o-ruḳh-e-yār  meñ  'saudā'  na  phire  kyuuñ
ḳhush  aa.e  hai  us  ko  shab-e-mahtāb  kī  gardish