jab  nazar  us  kī  aan  paḌtī  hai
zindagī  tab  dhiyān  paḌtī  hai
jhel  lete  haiñ  āshiq  ai  farhād
jis  ke  sar  jaisī  aan  paḌtī  hai
hai  jafā  se  ġharaz  use  itnī
ki  vafā  imtihān  paḌtī  hai
nazar  un  mah-vishāñ  kī  hai  zālim
kyā  ġhazab  ān-bān  paḌtī  hai
qadd-e-zāhid  nazar  meñ  chille  ba.ad
utrī  sī  kuchh  kamān  paḌtī  hai
baat  is  dil  ke  dard  kī  yaaro
guftugū  meñ  nidān  paḌtī  hai
ek  ke  muñh  se  jis  ghaḌī  niklī
phir  to  sau  kī  zabān  paḌtī  hai
lekin  itnā  koī  kahe  mujh  se
kabhū  us  ke  bhī  kaan  paḌtī  hai
be-sabātī  zamāne  kī  nā-chār
karnī  mujh  ko  bayān  paḌtī  hai
garm-joshī-e-dostāñ  ba-nazar
ātish-e-kārvān  paḌtī  hai
dil  se  pūchhā  ye  maiñ  ki  ishq  kī  raah
kis  taraf  mehrbān  paḌtī  hai
kahā  un  ne  ki  ne  ba-hindustāñ
ne  sū-e-asfhān  paḌtī  hai
ye  do-rāhā  jo  kufr  o  diiñ  kā  hai
donoñ  ke  darmiyān  paḌtī  hai
manzilat  sher  kī  tire  'saudā'
yuuñ  ba-vahm-o-gumāñ  paḌtī  hai
nahīñ  'īsā'  tū  par  suḳhan  se  tire
tan-e-be-jāñ  meñ  jaan  paḌtī  hai