hastī  ko  tirī  bas  hai  miyāñ  gul  kī  ishārat
kaafī  hai  mire  naale  ko  bulbul  kī  ishārat
fatvā  talab  ai  yaar  na  qaazī  se  karūñ  maiñ
tauba-shikanī  ko  hai  mirī  mul  kī  ishārat
mil  baiTh  merī  āñkhoñ  meñ  hai  sā.at-e-nek  aaj
ye  chashm  tarāzū  haiñ  tire  tul  kī  ishārat
hai  bā.is-e-jam.iyyat-e-dil  ek  jahāñ  kī
ai  shoḳh  pareshāni-e-kākul  kī  ishārat
taqvā  ke  nahīñ  baar  se  qad  ḳham  tirā  ai  shaiḳh
ik  ḳhalq  meñ  mash.hūr  hai  is  pul  kī  ishārat
yaad  aa.e  tirī  zulf  na  mujh  ko  jo  chaman  meñ
de  taab  mire  dil  ko  na  sumbul  kī  ishārat
ushshāq  ko  tujh  chashm  ke  hājat  nahīñ  mai  kī
behosh  kare  'saudā'  ko  qulqul  kī  ishārat