tujh  ishq  ke  marīz  kī  tadbīr  shart  hai
lekin  shifā  ko  gardish-e-taqdīr  shart  hai
saudā.ī  dil  ko  zulf-e-girah-gīr  shart  hai
dīvāne  ke  ilaaj  meñ  zanjīr  shart  hai
naale  to  meñ  bahut  kiye  us  but  ke  sāmne
patthar  ke  narm  karne  ko  tāsīr  shart  hai
ho  ḳhaak  rāh-e-ishq  meñ  tā-qadr  ho  tirī
mis  ke  tilā  banāne  ko  iksīr  shart  hai
kaafī  hai  ik  ishāra-e-abrū  tirā  hameñ
kuchh  āshiqoñ  ke  qatl  ko  shamshīr  shart  hai
dil  kī  shikast-o-reḳht  kī  mere  to  le  ḳhabar
har  ghar  kī  der-pā.ī  ko  ta.amīr  shart  hai
kartā  hai  kis  gunah  pe  uqūbat  hameñ  tū  yaar
ta.azīr  ke  to  vāste  taqsīr  shart  hai
'saudā'  maiñ  is  chaman  meñ  huuñ  juuñ  ġhuncha  dil-giraft
mātam-sarā  meñ  sūrat-e-dil-gīr  shart  hai