jis  dam  vo  sanam  savār  hove
tā-e-said-e-haram  shikār  hove
jo  uTh  na  sake  tirī  galī  se
rahne  de  ki  tā-ġhubār  hove
mohkam  tū  ravāq  ban  sake  hai
go  umr  ki  pā.edār  hove
vo  qasr  to  chāhtā  nahīñ  maiñ
jis  meñ  gul  o  gul-ezār  hove
vus.at  mire  siine  biich  ai  dahr
Tuk  dil  ko  shagufta  vaar  hove
sozan  kī  na  jaib  kiijo  minnat
yuuñ  phaTiyo  ki  taar  taar  hove
shabnam  se  bhare  hai  sāġhar-e-gul
gardūñ  to  ḳharāb-o-ḳhvār  hove
paanī  nahīñ  dete  us  ko  zālim
jo  zaḳhmī-e-be-shumār  hove
nāseh  tū  qasam  le  ham  se,  dil  par
apnā  kabhū  iḳhtiyār  hove
khīñche  hai  koī  bhī  teġh  pyāre
jamdhar  ki  jab  āb-dār  hove
kin  zaḳhmoñ  meñ  zaḳhm  hai  ki  jab  tak
chhātī  ke  na  vaar  paar  hove
khīñchī  hai  bhavāñ  ne  teġh  mukh  par
'saudā'  se  kaho  nisār  hove
vaise  hī  kaahe  ye  kaam  gul-rū
āshiq  hī  na  go  hazār  hove