magar  vo  diid  ko  aayā  thā  baaġh  meñ  gul  ke
ki  bū  kuchh  aur  maiñ  paa.ī  dimāġh  meñ  gul  ke
adū  bhī  ho  sabab-e-zindagī  jo  haq  chāhe
nasīm-e-sub.h  hai  roġhan  charāġh  meñ  gul  ke
chaman  khileñ  haiñ  pahuñch  baada  le  ke  ai  saaqī
girafta-dil  mujhe  mat  kar  farāġh  meñ  gul  ke
nahīñ  hai  jā-e-tarannum  ye  bostāñ  ki  nahīñ
sivā.e  ḳhūn-e-jigar  mai  ayāġh  meñ  gul  ke
alī  kā  naqsh-e-qadam  DhūñDhtā  hai  yuuñ  'saudā'
phire  hai  bād-e-sahar  juuñ  surāġh  meñ  gul  ke