jo  gul  hai  yaañ  so  us  gul-e-ruḳhsār  saath  hai
kyā  gul  hai  vo  ki  jis  ke  ye  gulzār  saath  hai
to  mast  shab  añdherī  aur  aġhyār  saath  hai
jo  dil  meñ  aave  kah  ye  gunahgār  saath  hai
ḳhāmosh  andalīb-e-chaman  tujh  se  kiyā  hai  bahs
apnā  suḳhan  to  murġh-e-giraftār  saath  hai
paiġhām  us  nigah  kā  ki  jis  meñ  hai  bū-e-mehr
kyā  jaane  kis  ke  āḳhirī  dīdār  saath  hai
uqda  na  ye  khulā  ki  mire  dil  sā  pahlavān
tujh  zulf  ke  bañdhā  huā  ik  taar  saath  hai
karte  to  ho  mire  maraz-e-dil  kā  tum  ilaaj
yaaro  jo  dil  yahī  hai  to  āzār  saath  hai
'saudā'  ke  haath  kyūñ-ke  lage  vo  matā-e-husn
le  nikleñ  jis  ko  ghar  se  to  bāzār  saath  hai