sadma  har-chand  tire  jaur  se  jaañ  par  aayā
tis  pe  shikva  na  kabhī  merī  zabāñ  par  aayā
rāst-keshoñ  kī  tuf-e-āh  se  Dar  ai  sarkash
tiir  phirtā  nahīñ  jis  vaqt  nishāñ  par  aayā
mausam-e-sheb  meñ  be-fā.eda  hai  la.ab-e-shabāb
kab  samar  deve  hai  jo  naḳhl  ḳhizāñ  par  aayā
dil-e-pur-ḳhūñ  ko  mire  ġhuncha-e-tasvīr  kī  tarah
lab-e-vāshud  na  kabhī  rāz-e-nihāñ  par  aayā
chashm-e-anjum  pe  nahīñ  abr  se  vo  roz-e-siyāh
jo  mire  dīda-e-ḳhūñ-nāb-chakāñ  par  aayā
raat  ko  dekh  ke  ai  maah  tujhe  ġhair  ke  saath
ta.ana-zan  dil  kā  mire  gul  ke  katāñ  par  aayā
ho  ke  ustād  dabistān-e-suḳhan  meñ  'saudā'
sher  ke  qā.eda  dānān-e-jahāñ  par  aayā