dāman  sabā  na  chhū  sake  jis  shah-savār  kā
pahuñche  kab  us  ko  haath  hamāre  ġhubār  kā
mauj-e-nasīm  aaj  hai  ālūda  gard  se
dil  ḳhaak  ho  gayā  hai  kisī  be-qarār  kā
ḳhūn-e-jigar  sharāb  o  tarashshah  hai  chashm-e-tar
sāġhar  mirā  giro  nahīñ  abr-e-bahār  kā
chashm-e-karam  se  āshiq-e-vahshī  asiir  ho
ulfat  hai  dām-e-āhū-e-dil  ke  shikār  kā
sauñpā  thā  kyā  junūñ  ne  garebān  ko  mire
letā  hai  ab  hisāb  jo  ye  taar  taar  kā
'saudā'  sharāb-e-ishq  na  kahte  the  ham,  na  pī
paayā  mazā  na  tū  ne  ab  us  ke  ḳhumār  kā