mast-e-sahar  o  tauba-kunāñ  shaam  kā  huuñ  maiñ
qaazī  ke  giraftār  nit  e.alām  kā  huuñ  maiñ
banda  kaho  ḳhādim  ko  chākar  kaho  mujh  ko
jo  kuchh  kaho  so  sāqī-e-gulfām  kā  huuñ  maiñ
ḳhidmat  meñ  mujhe  ishq  kī  hai  dil  se  irādat
ne  mo'taqid-e-kufr  na  islām  kā  huuñ  maiñ
yak  roz  halāl  us  ko  bhī  maiñ  kar  ke  na  khāyā
naukar  jo  ḳharābāt  meñ  do  jaam  kā  huuñ  maiñ
ne  fikr  hai  duniyā  kī  na  diiñ  kā  mutalāshī
is  hasti-e-mauhūm  meñ  kis  kaam  kā  huuñ  maiñ
yak-rañg  huuñ  aatī  nahīñ  ḳhush  mujh  ko  do-rañgī
munkir  suḳhan-o-sher  meñ  īhām  kā  huuñ  maiñ
matlūb-e-duā  haq  meñ  nahīñ  apne  kisū  kī
tālib  lab-e-mahbūb  se  dushnām  kā  huuñ  maiñ
banda  hai  ḳhudā  kā  to  yaqīñ  kar  ki  butāñ  kā
banda  ye  jahāñ  be-zar-o-be-dām  kā  huuñ  maiñ
hai  shīsha-e-mai  ainak-e-pīrī  mujhe  'saudā'
nazzāra-kun  ab  sheb  ke  ayyām  kā  huuñ  maiñ