ai  diida  ḳhānumāñ  tū  hamārā  Dubo  sakā
lekin  ġhubār  yaar  ke  dil  se  na  dho  sakā
tujh  husn  ne  diyā  na  kabhū  mufsidī  ko  chain
fitna  na  tere  daur  meñ  phir  niiñd  so  sakā
jo  sham.a-tan  huā  shab-e-hijrāñ  meñ  sarf-e-ashk
par  jis  qadar  maiñ  chāhe  thā  utnā  na  ro  sakā
'saudā'  qimār-e-ishq  meñ  shīrīñ  se  kohkan
baazī  agarche  pā  na  sakā  sar  to  kho  sakā
kis  muñh  se  phir  tū  aap  ko  kahtā  hai  ishq-bāz
ai  rū-siyāh  tujh  se  to  ye  bhī  na  ho  sakā