Sauda Mohammad Rafi

jo guzri mujh pe mat us se kaho hua so hua

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
jo guzrī mujh pe mat us se kaho huā so huā
balā-kashān-e-mohabbat pe jo huā so huā
mabādā ho koī zālim tirā garebāñ-gīr
mire lahū ko tū dāman se dho huā so huā
pahuñch chukā hai sar-e-zaḳhm dil talak yaaro
koī subū koī marham rakho huā so huā
kahe hai sun ke mirī sarguzisht vo be-rahm
ye kaun zikr hai jaane bhī do huā so huā
ḳhudā ke vāste aa darguzar gunah se mire
na hogā phir kabhū ai tund-ḳhū huā so huā
ye kaun haal hai ahvāl-e-dil pe ai āñkho
na phuuT phuuT ke itnā baho huā so huā
na kuchh zarar huā shamshīr kā na hāthoñ kā
mire hī sar pe ai jallād jo huā so huā
diyā use dil o diiñ ab ye jaan hai 'saudā'
phir aage dekhiye jo ho so ho huā so huā
Top Urdushayar.com